Sachet Tandon & Parampara Tandon - Humsafar (Romanized) Lyrics
[Intro: Sachet Tandon]
Meri befikri ki fikar tu
Meri saanson ka hai zikar tu
Hum humqadam se hamraah hue
Ab hamraah se hamnava hue
[Chorus: Sachet Tandon]
Raahon pe teri main jaaun bikhar
Agar saath mere tu hai humsafar
Main na ye sochun hai jaana kidhar
Agar saath mere tu hai humsafar
[Verse 1]
Tere hawaale hona hai maine
Ye aashiqana ishaara hua
Chupke se teri tamanna jagi
Chupke se ye dil aawaara hua
Berang hai wo jeena yahan pe kisi ka
Agar na sahaara hua
[Chorus: Sachet Tandon]
Raahon pe teri main jaaun bikhar
Agar saath mere tu hai humsafar
Main na ye sochun hai jaana kidhar
Agar saath mere tu hai humsafar
[Verse 2: Parampara Tandon]
Ik darr dil mein, dil mushkil mein
Maanu ya na maanu main teri baatein
Ik pal ye bhi lagta hai mujhko
Ye baatein hai chahat ki saugaatein
[Refrain: Sachet Tandon & Parampara Tandon]
Dheerе-dheere tu mere lafzon mеin aaya hai
Tujhko hi to chupke se man mein laaya hai
Dheere-dheere tu mere lafzon mein aaya hai
Tujhko hi to chupke se man mein laaya hai
[Chorus: Sachet Tandon]
Raahon pe teri main jaaun bikhar
Agar saath mere tu hai humsafar
[Instrumental Break]
[Bridge: Parampara Tandon & Sachet Tandon]
Vaada ho, sheesha ho, dhaaga ho, saansein ho
Tute bina wo yu kab tak reh lenge?
Feeke ujaalon ke, khwaabon-khayaalon ke
Jhoothe khilono se kab tak behlenge?
Kaise zakhmon ko bata
Marham ka milta achaanak pata
Ye maan le, chahat duniya mein sabse
Behtar marham hai, yaara
[Chorus: Parampara Tandon & Sachet Tandon]
Haan, raahon pe teri main jaaun bikhar
Agar saath mere tu hai humsafar
Main na ye sochun hai jaana kidhar
Agar saath mere tu hai humsafar
[Outro: Sachet Tandon]
Baaki abhi hai safar, humsafar
Zara der tu saath chal de agar, humsafar