Piyaa-milan Ko Jaane Waali Sambhal-sambhal Kar Chal Song Lyrics

Piyaa-milan Ko Jaane Waali Sambhal-sambhal Kar Chal Song Lyrics


(Piyaa-milan ko jaane waali
Sambhal-sambhal kar chal) – 2
Sambhal-sambhal – 4
Piyaa-milan ko jaane waali
Sambhal-sambhal kar chal
Ghuungat khol kali samajhaati
Prit nagariya duur
Tera saanwariya
Bula raha hai
Kahaan-kahaan phir duur
Duur nahin
Duur nahin ab tere piya ka
Sundar rang-mahal
Sambhal-sambhal – 4
Piyaa-milan ko jaane waali
Sambhal-sambhal kar chal
Aandhi aayi
Aandhi aayi kya ghabaraana
Tujhako des piya ke jaana
Na dar
Na dar in kaanton pe badhati chal
Dekh ke baadal nahin machal
Nahin hota yuun man bekal
Haath mein mehandi lagi
Lagaaya nainon mein kaajal
Sambhal-sambhal – 4
Piyaa-milan ko jaane waali
Sambhal-sambhal kar chal Uthi ghata ghanaghor
Tera naach utha man-mor – 2
Pritam aaye aaj milan ka
Aaya hai tyohaar
(Saja aarati kiratan ga
Aur pahana de tu haar) – 2
Aayi thi khil gaya saloni
Tera hiraday kamal
Ab sang piya ke chal
Sambhal-sambhal – 4
Piyaa-milan ko jaane waali
Sambhal-sambhal kar chal




Movie / Album:Dev Kanya Lyrics
Language:Hindi
Singer’s:Amirbai Karnataki

Post Contents Table

ALSO READ  Mere Mann Ke Mandir Me, Murat Hai Ghansham Kee Song Lyrics