Main Deewaana Na Jaana Kab Kaise Song Lyrics

Main Deewaana Na Jaana Kab Kaise Song Lyrics


(Main deewaana na jaana kab kaise mere dil mein tu mehmaan ban gayi-2
O meri jaan ki dushman tu meri jaan ban gayi) – (2)
Main deewaani na jaani kab kaise mere dil mein tu mehmaan ban gaya
O meri jaan ke dushman tu meri jaan ban gaya
Pehale gussa aaya phir yaar aa gaya – (2)
Patjhad mein yeh mausame bahaar aa gaya
O jhute waade par bhi aitbaar aa gaya
Aankhon hi aankhon mein, baaton hi baaton mein yeh daastaan ban gayi
O meri jaan ki dushman tu meri jaan ban gayi
Main deewaani na jaani kab kaise mere dil mein tu mehmaan ban gaya
O meri jaan ke dushman tu meri jaan ban gaya Hum kitana bichade phir mulaakaat ho gayi – (2)
Hum kitaa ruthe phir kaise baat ho gayi
Kab yeh aag lagi kab yeh barsaat ho gayi
Dub gaye hum dono jisame paani ka katara katara tufaan ban gaya
O meri jaan ke dushman tu meri jaan ban gaya
Main deewaana na jaana kab kaise mere dil mein tu mehmaan ban gayi
O meri jaan ki dushman tu meri jaan ban gayi
Duniya ki unchi unchi deewaar gir gayi – (2)
Woh rasmo riwaajon ki talwaar gir gayi
Main tere kadamon mein ho dildaar gir gayi
Tauba tauba kitani mushkil baat mohabbat mein kitani aasaan ban gayi
O meri jaan ki dushman tu meri jaan ban gayi
Main deewaani na jaani kab kaise mere dil mein tu mehmaan ban gaya
O meri jaan ke dushman tu meri jaan ban gaya – (2)




Movie / Album:Ek Main Aur Ek Tu (1986) Lyrics
Language:Hindi
Lyricist:Anand Bakshi
Singer’s:Asha Bhosle, Mohammed Aziz
Music Director:R D Burman

Post Contents Table

ALSO READ  Teach me Lyrics - State of Emergency